Dastak


Aaj subah se hi ik khayal man me baar baar dastak de raha tha nahi shayad ye kahon ki pichle kai dino se man me uthal futal macha raha tha aur phir achanak WhatsApp par kisi ka bheja hua message dekh kar mere hath anayas hi shweth kagaz ko syah karte chale gai aap jante hai message kya tha chaliye aap se share kar hi leti hon phir shayad aap samajh sake mere man ke ufan ko


To ab aap samjhe my kya kahna chahti hon sach me prakruti ne hame bahoot kutch diya hai jiska hamne khoob anad bhi uthaya par kahte hai na jab cheese hamare pass jada ho jati hai to hame unki kadar nahi hoti thik usi tarah hamne bhi kadar karna band kiya tha taking for granted si halat ho gai thi
Pradooshan ,pani ka durupyog, non degradable cheezon ka upyog , aur na jane kya kya hamne sirf prakruti se liya hi liya hai aur jab dene ki bari ayi to keval uska nuksaan hi kiya hai
Phir bhi usne bade hi dheeraj aur dildar ban kar hamari galtiyon ke bavajood hamari jarooraton ka khayal rakha hai.par ye to sach hi hai ki dhairya ka baandh to kabhi na kabhi tootta hi hai ,prakop to dikhana hi tha ,phir wo chahe japan ki sunami ho, jwalmukhi ya, amazon aur Australia jungle ki aag ho ,ya aakal aur han sukhe ko ham bhool nahi sakte to matlab ye ki prakruti jo deti hai le bhi sakti hai ham sirf aur sirf iske gulam hai par kam malikon sa karte hai aur tab ye hame hamari aukat dikhati hai
Kabhi kabhi lagta hai ham in panch bhoton ke bina kutch bhi nahi phir bhi ham inki kadr nahi karte
Aaj lockdown me hamari hawa ne shayaad kai salon bad khul kar saans liya hai mano kah rahi ho Namo Namo vijayi bhavah hame khul kar sans lene ki azadi dene ke liye pradooshan mukt phir chahe wo vayu ho shoor kutch dino ki hi sahi par, Bahoot nahi par trypt hai prakruti.
Nahi my koi tathya nahi pesh kar rahi na hi koi ganana ye sab to aap log google me pad hi lenge my to sirf apne ek ehsas ko aap logo ke saath batna chahti thi
Chahe koi bhi yug ho kaisa bhi samay ho prakriti keval hame deti hi hai paranto agar lene pe ajae to sab kutch ek pal me bagair kisi poorva soochna ke hamare ummed se bhi jaldi cheen bhi leti hai.



Hame chahiye ki ham iski sampadaoo ka pura khayal raken chahe science ne kitnihi tarakki kar li ho ya phir manav mangal par bhi pahonch jaye use ye nahi bhoolna chahiye ki prakruti ke niyamon ke khilaf jab zadti hoti hai to karma apna jadoo dikhata hai jitna ham nuksan karte hai usse kahi jyada hamara nuksan hota hai .hawa, pani ,aag ,dharti, aasman ,sabhi panchboot hame khushhal banate hai .
Chahe pani ke molecules ko alag karne ki kshamta hamme ho H2O ke H Aur O se nahi keval pani hi pyas bujhati hai .
Ye pata laga le ki hawa me kitne tarah ke gases hai par sans lene ke liye O2 hi chahiye.
Vitamin A AUR D ke vikalp bhale hi hame mil gaye ho par sooraj aur ozone layer ka mahatv ham nahi nakar sakte.
Agni ka prakoop jungle ko hi nahi manav aur samast jeevon ke vinash ka bhi karan hota hai
Aur chahe cocopeeth ne matti ke raaj me apna chota sa astitva bana bhi liya ho par ham nahi jutla sakte ki dharti abhi bhi fasal ugati hai aur kheton me prakriti ka hi yogdan pramukh hai.



To bus mai to yahi samajh pai hon ki ham to bas keval is prakruti ke daas hain aur isko bacha kar ham khud ko bachane me saksham ho sakte hain….loma….

Comments

  1. We fell asleep in one world and woke up in another written by Author Haroon Rashid, Insta: @authorharoonrashid

    ReplyDelete

Post a Comment

आपके विचार मेरे लिए प्रेरणा स्तोत्र है।

Popular posts from this blog

सनातन

गुमनाम मत

करोना मे दोस्ती